Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2017

alcoholism by piyush mishra

adat jisko samjhe ho.. wo marj kabhi ban jayega, fir marj ki adat, pad jayegi  arj na kuch kar paoge.. agar tabdili ki gunjaish ne sath diya. to thik sahi, usne bhi agar chhod diya.. to yaar bahut pachtaoge.. jo boond kahi botal ki thi, to sath whi 2 pal ka tha pata nahi wo do pal ka sath, kab sadi main badal gaya, hm chup baith ke, sunn gujarte lamhe ko na samjh sake wo kab bheegi un palkon ki un surkh nami main nikal gaya, neend na jane kaha gayi, un sehmi sikudi raato main  hm sannate ko cheekh rat se bhara andhera takte the.. fir sihar sihar, fir kaanp kaanp ke thaam kaleja haatho main jisko na wapas aana tha wo gaya sabera takte the jisko samjhe ho tum majak, wo dard kabhi ban jayega fir dard ki adat pad jayegi, arj na kch kar paoge.. agar tabdeeli ki gunjaish ne sath diya to thik sahi.. par usne bhi agar chhod diya, to yar bade pachtaoge.. kat phat k hum bikhar chuke the jab tum aaye the bhai.. aur sabhi raaste gujar chuke the j