adat jisko samjhe ho..
wo marj kabhi ban jayega,
fir marj ki adat, pad jayegi
arj na kuch kar paoge..
agar tabdili ki gunjaish ne sath diya. to thik sahi,
usne bhi agar chhod diya.. to yaar bahut pachtaoge..
jo boond kahi botal ki thi, to sath whi 2 pal ka tha
pata nahi wo do pal ka sath, kab sadi main badal gaya,
hm chup baith ke, sunn gujarte lamhe ko na samjh sake
wo kab bheegi un palkon ki un surkh nami main nikal gaya,
neend na jane kaha gayi, un sehmi sikudi raato main
hm sannate ko cheekh rat se bhara andhera takte the..
fir sihar sihar, fir kaanp kaanp ke thaam kaleja haatho main
jisko na wapas aana tha wo gaya sabera takte the
jisko samjhe ho tum majak, wo dard kabhi ban jayega
fir dard ki adat pad jayegi, arj na kch kar paoge..
agar tabdeeli ki gunjaish ne sath diya to thik sahi..
par usne bhi agar chhod diya, to yar bade pachtaoge..
kat phat k hum bikhar chuke the jab tum aaye the bhai..
aur sabhi raaste gujar chuke the jab tum aaye the bhai
wo daur na tumne dekha tha, wo kisse na sun paye the
jis daur ki aandhi kaali thi, jis daur ke kaale saaye the..
us daur nashe main zehan tha, us daur nashe main ye mann tha
us daur peshaane geeli thi, us daur nashe main tan tha,
us daur main sapne darr late, us daur dophari sannata
us daur sabhi kuch tha bhai aur sach bolo kuch bhi na tha..
narm sundar surila nagma, kadwa kabhi ban jayega
agar tabdili ki gunjaish ne sath diya. to thik sahi,
usne bhi agar chhod diya.. to yaar bahut pachtaoge..
us daur se phle daur raha jab sath zindgi rehti thi..
wo daur bada purjor raha jab sath bandgi rehti thi,
jab sath kehkaho ka hota jab baat lateefo ki hoti..
aur sham mehakte khwabo ki, aur raat haseeno ki hoti,
jab kahe nazneen bolo sajan kon pehar ko aau main
husn kahe ki tu mera, or tera hi ho jau main
bus main pagal na samjh saka kis or trf ko jana hai
jaam ne kheecha, botal itraayi ke tujhko aana hai
main maykhane ki or chala ke phool ke peeche kya hoga
nanha bachpan sunn hichkiya atak atak ke jag utha
Wah
ReplyDeleteKya poem rooh ko cho gaya
ReplyDelete