Skip to main content

kuch ishq kiya kuch kam kiya by piyush mishra

wo log bahut khus kismat the jo ishq ko kaam smjhte the ya kaam se aashquie krte the
hm jeete jee mashroof rhe kch ishq kiya kch kaam kiya
kaam ishq k aade aata rha kabhi ishq main kaam bigadta rha
aakhir main tang akar hmne dono ko adhoora chhod diya

wo kaam bhala kya kaam hua jis kaam ka bojha sir pr ho
wo ishq bhala kya ishq hua jis ishq ka charcha ghar pr ho

wo kaam bhala kya kam hua jo matar sari ka halka ho
wo ishq bhala kya ishq hu jisme na door tehlka ho

wo kaam bhala kya kaam hua jisme na jaan ragadti ho
wo ishq bhala kya ishq hua jisme na baat bigadti ho

wo kam bhala kya kam hua jisme sala dil ro jaye
wo ishq bhala kya ishq hua jo asaani se ho jaye

wo kaam bhala kya kaam hua jo maja nhi de whisky ka
wo ishq bhala kya ishq hua jisme na mauka siski ka

wo kam bhala kya kaam hua jiski na shakal ibaadat ho
wo ishq bhala kya ishq hua jiski darkaar izaazat ho

wo kaam bhala kya kaam hua jo kahe ghoom or thag le be
wo ishq bhala kya ishq hua jo khe choom or bhag le re

wo kam bhala kya kam hua jisme na thasak sikandar ki
wo ishq bhala kya ishq hua jisme na tharak ho andar ki

wo kam bhala kya kam hua jo kadwi ghoot sari ka ho
wo ishq bhala kya ishq hua jisme sab kch meetha ho

wo kaam bhala kya kaam hua jo labb ki muskaan khota ho
wo ishq bhala kya ishq hua jo sab ki sune hota ho

wo kaam bhala kya kaam hua jo watanukulit ho bs
wo ishq bhala kya ishq hua jo haanf k kr de chitt bs 

Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete


  2. Waqt waqt ki baat hai,

    Kal din tha aaj raat hai,

    Pyar ne di aisi dard-e-judai hai,

    Kal wo the sath, aaj kagaz aur siyahi hai .

    ReplyDelete

Post a Comment