Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2019

meri daastaan sunana by zakir khan

Mera Sab bura bhi kehna, Par aacha bhi sab batana. Mai jau duniya se toh sabko Meri dastaan sunana. yeh bhi Batana Ki kaise samandar jeetne se pehle, Mai Na jaane kitni choti-choti nadiyon se hazaaron bar haara tha. Woh ghar Woh zameen deekhana, Koi magrur bhi kahega toh tum Usko shuruwat meri batana. Batana safar ki dushwariya mere, Taki koi jo Meri jaisi zameen se aaye Uske liye nadi ki haar choti hi rahe. Samsndar jeetne ka khawab Uske dil aur dimag se na jaaye. Par unse meri galatiya bhi mat chupana. Koi poche toh bata dena ki Mai kiss darje ka nakara tha. Keh dena ki jhoota tha mai, Batana ki kaise zarurat par kaam na aa saka. Wade kiye par nibha na saka. Intqaam saare poore kiye par ishq adhura rehne diya. Bata dena sabko ki, mai matlabi bada tha. Har bade mukaam pe tanha hi mai khada tha. Mera Sab bura bhi kehna, Par aacha bhi sab batana. Mai jau duniya se toh sabko Meri dastaan sunana.

apne hi bhawar main doob raha hu by zakir khan

Mai doob raha hoon, apne hi bhavar mein. Roz Doob raha hoon. mere antarmann me Hazaron sunamiya aati hai. Meri Atma ko apne gehre andheron me kheechti hai. B ahut darawni jagah hai woh, Tum kabhi mat aana wahan. Jahan mai.... roz doobta hoon. Doobta hoon, ubharta hoon, Ladta hoon khud hi se aur ...Phir Uthkar aa jaata hoon apna tamasha le kar. Tumse hath nahi manga, kyunki bhavar bahut tez hai. bahut tez hai yeh mere vichlit Mann ka bhavar. Mai toh doob hi raha hoon, tumhe sath le kar nahi doobna chahta. Nahi chahta ki iss sunami ka ek chitta bhi ksisi mere apne par padhe. Jaise mai kho raha hoon khud ko, waise mai tumhe nahi khona chahta. Mere antandvand ki sabse aachi baat yeh ki iss me Har roz mai hi jeetta hoon. Aur sabse bhayavar baat yeh ki Mai hi hoon jo har roz apne hi aap se haar raha hoon. Roz haar raha hoon, lagatar haar raha hoon. na jeet ka koi tamga milta hai na haar ke ghav dekhte hai. bas sab kuch khali rehta hai, haan yeh mai keh raha hoon. the...

zakir khan poetry

Mai jo kabhi keh bhi du ki nahi chahiye sath tumhara, toh samjh lena bahut Zarurat hai tumhari. Bhai ki tarah sath dena. bhul kar bhi chale mat jaana. Ho sake toh mera haath tham ke, beth jaana sath mere aur kheech lena apni duniya me Mujhe phir se. Par Wahi rehna, chhod kar mat jaana. Mai jo kabhi keh bhi du ki nahi chahiye sath tumhara, toh samjh lena bahut Zarurat hai tumhari. Tum naraz na hona, Maa ki tarah bas puchkaar Dena mujhe. Mere saar par pyar se hath pher dena. Ho sake toh aanchal mein chupa lena mujhe duniya se. Par Wahi rehna, chhod kar mat jaana. mai jo kabhi keh bhi du ki nahi chahiye sath tumhara, Toh samjh lena bahut Zarurat hai tumhari. Tum dant dena mujhe, pita ki tarah poore haq se. apne seene se laga lena mujhe. Mere ghum mein doobe rehne ke bawajood bhi, ho sake toh bata dena ki mujh par guroor hai tumhe. Par Wahi rehna, chhod kar mat jaana. Mai jo kabhi keh bhi du ki nahi chahiye sath tumhara. Toh samjh lena bahut Zarurat hai ...