Skip to main content

apne hi bhawar main doob raha hu by zakir khan


Mai doob raha hoon, apne hi bhavar mein.
Roz Doob raha hoon.
mere antarmann me Hazaron sunamiya aati hai.
Meri Atma ko apne gehre andheron me kheechti hai.
Bahut darawni jagah hai woh,
Tum kabhi mat aana wahan.
Jahan mai.... roz doobta hoon.
Doobta hoon, ubharta hoon, Ladta hoon khud hi se aur
...Phir Uthkar aa jaata hoon apna tamasha le kar.
Tumse hath nahi manga,
kyunki bhavar bahut tez hai.
bahut tez hai yeh mere vichlit Mann ka bhavar.
Mai toh doob hi raha hoon,
tumhe sath le kar nahi doobna chahta.
Nahi chahta ki iss sunami ka ek chitta bhi
ksisi mere apne par padhe.
Jaise mai kho raha hoon khud ko,
waise mai tumhe nahi khona chahta.
Mere antandvand ki sabse aachi baat yeh
ki iss me Har roz mai hi jeetta hoon.
Aur sabse bhayavar baat yeh ki
Mai hi hoon jo har roz apne hi aap se haar raha hoon.
Roz haar raha hoon, lagatar haar raha hoon.
na jeet ka koi tamga milta hai
na haar ke ghav dekhte hai.
bas sab kuch khali rehta hai,
haan yeh mai keh raha hoon. theek suna tumne
Ki mai Doob raha hoon, Roz doob raha hoon.
Apne hi bhavar me.
Par
Mai lada hoon, laduga.
Aaj dooba hoon, par ubhrunga aur kal...
Phir Uthkar aa jauga apna tamasha le kar.

Comments

Popular posts from this blog

Akele baith kar main jab bhi tumko yad karti hu by Ankita singh

बदल जाए तमन्ना की इकाई अगर दहाई में बदल जाए, पहाड़ों सा मेरा जीवन रुबाई में बदल जाए।  तुम अपने आप में ले लो तो मेरा शून्य सा जीवन, सफलता की किसी स्वर्णिम निताई में बदल जाए। जो मौन हैं उनके लिए एक मुक्तक-  सांस के गीत को सांस गुन ले अगर, आंख के सीप अश्क चुन ले अगर, प्रेम का पूर्ण संवाद हो जाएगा, मौन ने जो कहा, मौन सुन ले अगर। धन्यवाद, अच्छा सुन रहे हैं तो मेरा भी मन बढ़ गया है, मैं सोचती हूं कि एक गीत सुना दूं- अकेले बैठकर तुमको कभी जब याद करती हूं, मैं तुमको याद करती हूं, हां तुमको याद करती हूं, मैं रोना मुस्कुराना हाय दोनों साथ करती हूं, अकेले। इसका पहला अंतरा पढ़ती हूं, जब प्रेम में होते हो तो किस तरह मोबेलिटी बढ़ जाती है जरा सुनिएगा यहीं सोफे पर बैठकर सात अंबर घूम आती हूं, तुम्हारा नाम जपती हूं नशे में झूम जाती हूं। कहां हूं मैं जहां मेरी खबर मुझ तक नहीं आती।  क्या मेरी गुमशुदी की ये खबर तुम तक नहीं जाती। गली दिल की तुम्हारी याद से आबाद करती हूं, अकेले बैठकर जब कभी मैं याद करती हूं। क्या होता है जब वो चला जाता है कैसा माहौल होता है, सुनिएगा

kuch ishq kiya kuch kam kiya by piyush mishra

wo log bahut khus kismat the jo ishq ko kaam smjhte the ya kaam se aashquie krte the hm jeete jee mashroof rhe kch ishq kiya kch kaam kiya kaam ishq k aade aata rha kabhi ishq main kaam bigadta rha aakhir main tang akar hmne dono ko adhoora chhod diya wo kaam bhala kya kaam hua jis kaam ka bojha sir pr ho wo ishq bhala kya ishq hua jis ishq ka charcha ghar pr ho wo kaam bhala kya kam hua jo matar sari ka halka ho wo ishq bhala kya ishq hu jisme na door tehlka ho wo kaam bhala kya kaam hua jisme na jaan ragadti ho wo ishq bhala kya ishq hua jisme na baat bigadti ho wo kam bhala kya kam hua jisme sala dil ro jaye wo ishq bhala kya ishq hua jo asaani se ho jaye wo kaam bhala kya kaam hua jo maja nhi de whisky ka wo ishq bhala kya ishq hua jisme na mauka siski ka wo kam bhala kya kaam hua jiski na shakal ibaadat ho wo ishq bhala kya ishq hua jiski darkaar izaazat ho wo kaam bhala kya kaam hua jo kahe ghoom or thag le be wo ishq bhala kya ishq hua jo khe choom or

meri daastaan sunana by zakir khan

Mera Sab bura bhi kehna, Par aacha bhi sab batana. Mai jau duniya se toh sabko Meri dastaan sunana. yeh bhi Batana Ki kaise samandar jeetne se pehle, Mai Na jaane kitni choti-choti nadiyon se hazaaron bar haara tha. Woh ghar Woh zameen deekhana, Koi magrur bhi kahega toh tum Usko shuruwat meri batana. Batana safar ki dushwariya mere, Taki koi jo Meri jaisi zameen se aaye Uske liye nadi ki haar choti hi rahe. Samsndar jeetne ka khawab Uske dil aur dimag se na jaaye. Par unse meri galatiya bhi mat chupana. Koi poche toh bata dena ki Mai kiss darje ka nakara tha. Keh dena ki jhoota tha mai, Batana ki kaise zarurat par kaam na aa saka. Wade kiye par nibha na saka. Intqaam saare poore kiye par ishq adhura rehne diya. Bata dena sabko ki, mai matlabi bada tha. Har bade mukaam pe tanha hi mai khada tha. Mera Sab bura bhi kehna, Par aacha bhi sab batana. Mai jau duniya se toh sabko Meri dastaan sunana.