WO JHUTHA THA BY NIDA FAZLI Walid ki wafat par Tumhari kabr par main Faateha padhne nahi aaya, Mujhe maaloom tha, tum mar nahi sakte Tumhari maut ki sachchi khabar jisne udaai thi, wo jhutha tha, Wo tum kab the? Koi sukha hua patta hawa main gia ke toota tha. Meri aankhe Tumhaari manjaron mein kaid hai ab tak Main jo bhi dekhta hoon, sochata hoon wo wahi hai Jo tumhari nek-naami aur bad-naami ki duniya thi. Kahi kuchh bhi nahi badla, tumhaare haath meri ungaliyon mein saans lete hai, Main likhne ke liye jab bhii kaagaz kalam uthaata hoon tumhe baitha hua main apni kursi mein paata hoon. badan mein mere jitna bhi lahoo hai Wo tumhari lagzisho naakaamiyon ke saath bahta hai Meri aawaaz mein chhupkar tumhaara zahan rahta hai Meri bimaariyon mein tum meri laachariyon mein tum. Tumhari kabr par jisne tumhara naam likha hai Wo jhutha hai, wo jhutha hai, wo jhutha hai Tumhari kabr mein main dafan tum mujhme zinda ho Kabhi fursat mile to faatha padhne chale aana. Nida Fa...
be yourself,show your charm... be infinite