WO JHUTHA THA BY NIDA FAZLI
Walid ki wafat par
Tumhari kabr par main
Faateha padhne nahi aaya,
Mujhe maaloom tha, tum mar nahi sakte
Tumhari maut ki sachchi khabar
jisne udaai thi, wo jhutha tha,
Wo tum kab the?
Koi sukha hua patta hawa main gia ke toota tha.

Meri aankhe
Tumhaari manjaron mein kaid hai ab tak
Main jo bhi dekhta hoon, sochata hoon
wo wahi hai
Jo tumhari nek-naami aur bad-naami ki duniya thi.

Kahi kuchh bhi nahi badla,
tumhaare haath meri ungaliyon mein saans lete hai,
Main likhne ke liye jab bhii kaagaz kalam uthaata hoon
tumhe baitha hua main apni kursi mein paata hoon.

badan mein mere jitna bhi lahoo hai
Wo tumhari lagzisho naakaamiyon ke saath bahta hai
Meri aawaaz mein chhupkar tumhaara zahan rahta hai
Meri bimaariyon mein tum meri laachariyon mein tum.

Tumhari kabr par jisne tumhara naam likha hai
Wo jhutha hai, wo jhutha hai, wo jhutha hai
Tumhari kabr mein main dafan tum mujhme zinda ho
Kabhi fursat mile to faatha padhne chale aana.

Nida Fazli
Comments
Post a Comment